dasht-e-tanhā.ī meñ kal raat havā kaisī thī
der tak TūTte lamhoñ kī sadā kaisī thī
zindagī ne mirā pīchhā nahīñ chhoḌā ab tak
umr bhar sar se na utrī ye balā kaisī thī
sunte rahte the mohabbat ke fasāne kyā kyā
buuñd bhar dil pe na barsī ye ghaTā kaisī thī
kyā milā faisla-e-tark-e-ta.alluq kar ke
tum jo bichhḌe the to hoñToñ pe duā kaisī thī
TuuT kar ḳhud jo vo bikhrā hai to mālūm huā
jis se lipTā thā vo dīvār-e-anā kaisī thī
jism se noch ke pheñkī bhī to ḳhushbū na ga.ī
ye rivāyāt kī bosīda qabā kaisī thī
Dūbte vaqt bhañvar pūchh rahā hai 'qaisar'
jab kināre se chale the to fazā kaisī thī