ḳhayāl-e-tark-e-ta.alluq ko Tālte rahiye
havā meñ koī hayūlā uchhālte rahiye
purāne āshnā chehroñ ko yaad kar kar ke
hujūm-e-ġham meñ bhī dil ko sambhālte rahiye
tamām umr yūñhī kiije hasratoñ kā shumār
tamām umr yūñhī dukh sambhālte rahiye
sajā ke roz na.ī mahfileñ na.e chehre
zar-e-fasurda-dilī ko ujālte rahiye
raheñ na dasht jo sahrā-navardiyoñ ke liye
to apne sahn meñ patthar uchhālte rahiye
na mil sakeñ jo vo yārān-e-gul-sifat 'nāhīd'
to apne aap ko sāñchoñ meñ Dhālte rahiye