itnā sannāTā hai bastī meñ ki Dar jā.egā
chāñd niklā bhī to chup-chāp guzar jā.egā
kyā ḳhabar thī ki havā tez chalegī itnī
saarā sahrā mire chehre pe bikhar jā.egā
ham kisī moḌ pe ruk jā.eñge chalte chalte
rāsta TuuTe hue pul pe Thahar jā.egā
bādbānoñ ne jo ehsān jatāyā us par
biich dariyā meñ vo kashtī se utar jā.egā
chalte rahiye ki saf-e-ham-safarāñ lambī hai
jis ko raste meñ Thaharnā hai Thahar jā.egā
dar-o-dīvār pe sadiyoñ kī kohr chhā.ī hai
ghar meñ sūraj bhī jo aayā to ThiThar jā.egā
fan vo jugnū hai jo uḌtā hai havā meñ 'qaisar'
band kar loge jo muTThī meñ to mar jā.egā