zulf ghaTā ban kar rah jaa.e aañkh kañval ho jaa.e
shāyad un ko pal bhar socheñ aur ġhazal ho jaa.e
jis dīpak ko haath lagā do jaleñ hazāroñ saal
jis kuTiyā meñ raat bitā do tāj-mahal ho jaa.e
kitnī yādeñ aa jaatī haiñ dastak diye baġhair
ab aisī bhī kyā vīrānī ghar jañgal ho jaa.e
tum aao to pañkh lagā kar uḌ jaa.e ye shaam
mīloñ lambī raat simaT kar pal do pal ho jaa.e