phir mire sar pe kaḌī dhuup kī bauchhār girī
maiñ jahāñ jā ke chhupā thā vahīñ dīvār girī
log qistoñ meñ mujhe qatl kareñge shāyad
sab se pahle mirī āvāz pe talvār girī
aur kuchh der mirī aas na TuuTī hotī
āḳhirī mauj thī jab haath se patvār girī
agle vaqtoñ meñ suneñge dar-o-dīvār mujhe
merī har chīḳh mire ahd ke us paar girī
ḳhud ko ab gard ke tūfāñ se bachāo 'qaisar'
tum bahut ḳhush the ki ham-sā.e kī dīvār girī