Qaisarul Jafri

din ki bedard thakan chehre pe le kar mat ja

Qaisarul Jafri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1926-2005
din kī bedard thakan chehre pe le kar mat jā
bām-o-dar jaag rahe hoñge abhī ghar mat jā
mere purkhoñ kī virāsat kā bharam rahne de
tū havelī ko khulā dekh ke andar mat jā
buuñd bhar dard sambhaltā nahīñ kam-zarfoñ se
rakh ke tū apnī hathelī pe samundar mat jā
phūTne de mirī palkoñ se zarā aur lahū
ai mirī niiñd abhī chhoḌ ke bistar mat jā
kuchh to rahne de abhī tark-e-vafā kī ḳhātir
tujh ko jaanā hai to jā haath jhaTak kar mat jā
aur kuchh der ye mashq-e-nigah-e-nāz sahī
sāmne baiTh abhī pheñk ke ḳhanjar mat jā
dhuup kyā hai tujhe andāza nahīñ hai 'qaisar'
aable paañv meñ paḌ jā.eñge bāhar mat jā
Top Urdushayar.com