tirī galī meñ tamāshā kiye zamāna huā
phir is ke ba.ad na aanā huā na jaanā huā
kuchh itnā TuuT ke chāhā thā mere dil ne use
vo shaḳhs merī muravvat meñ bevafā na huā
havā ḳhafā thī magar itnī sañg-dil bhī na thī
hamīñ ko sham.a jalāne kā hausla na huā
mire ḳhulūs kī saiqal-garī bhī haar ga.ī
vo jaane kaun sā patthar thā ā.īna na huā
maiñ zahr piitā rahā zindagī ke hāthoñ se
ye aur baat hai merā badan harā na huā
shu.ūr chāhiye tartīb-e-ḳhār-o-ḳhas ke liye
qafas ko toḌ ke rakkhā to āshiyāna huā
hamāre gaañv kī miTTī hī ret jaisī thī
ye ek raat kā sailāb to bahāna huā
kisī ke saath ga.iiñ dil kī dhaḌkaneñ 'qaisar'
phir is ke ba.ad mohabbat kā hādisa na huā