Qaisarul Jafri

tum se do harf ka KHat bhi nahin likkha jata

Qaisarul Jafri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1926-2005
tum se do harf kā ḳhat bhī nahīñ likkhā jaatā
jaao ab yuuñ bhī ta.alluq nahīñ toḌā jaatā
dil kā ahvāl na pūchho ki bahut roz hue
is ḳharābe kī taraf maiñ nahīñ aatā jaatā
tishnagī ne kabhī dariyāoñ se milne na diyā
ham jidhar jaate usī raah meñ sahrā jaatā
zindagī! rahne bhī de soch kī had hotī hai
itnā sochā hai ki sadiyoñ meñ na sochā jaatā
us ko andāz-e-taġhāful bhī na aayā ab tak
bhūlne hī ko sahī yaad to rakkhā jaatā
haa.e vo daur ki aañsū bhī na the āñkhoñ meñ
aur chehrā thā ki be-ro.e bhī bhīgā jaatā
bhūltā hī nahīñ vo marhala-e-rāz-o-niyāz
ham manāte to koī aur bhī rūThā jaatā
pas-e-dīvār kā manzar bhī gayā apne saath
sahn-e-vīrān se patthar kahāñ pheñkā jaatā
shaam hote hī koī sham.a jalā rakhnī thī
jab darīche se havā aatī to dekhā jaatā
raushnī apne gharoñdoñ meñ chhupī thī varna
shahr ke shahr pe shab-ḳhūn na maarā jaatā
itne aañsū mirī āñkhoñ meñ kahāñ the 'qaisar'
umr bhar dal ke janāze pe jo royā jaatā
Top Urdushayar.com