ghar lauT ke ro.eñge maañ baap akele meñ
miTTī ke khilaune bhī saste na the mele meñ
kāñToñ pe chale lekin hone na diyā zāhir
talvoñ kā lahū dhoyā chhup chhup ke akele meñ
ai dāvar-e-mahshar le dekh aa.e tirī duniyā
ham ḳhud ko bhī kho baiThe vo bhiiḌ thī mele meñ
ḳhushbū kī tijārat ne dīvār khaḌī kar dī
āñgan kī chamelī meñ bāzār ke bele meñ