Qaisarul Jafri

wo ek KHema-e-shab jis ka nam duniya tha

Qaisarul Jafri

Jaunpur, Uttar pradesh, India

1926-2005
vo ek ḳhema-e-shab jis kā naam duniyā thā
kabhī dhuāñ to kabhī chāñdnī sā lagtā thā
hamārī aag bhī taapī hameñ bujhā bhī diyā
jahāñ paḌāv kiyā thā ajiib sahrā thā
havā meñ merī anā bhīgtī rahī varna
maiñ āshiyāne meñ barsāt kaaT saktā thā
jo āsmān bhī TuuTā girā mirī chhat par
mire makāñ se kisī bad-duā kā rishta thā
tum aa ga.e ho ḳhudā kā subūt hai ye bhī
qasam ḳhudā kī abhī maiñ ne tum ko sochā thā
zamīñ pe TuuT ke kaise girā ġhurūr us kā
abhī abhī to use āsmāñ pe dekhā thā
bhañvar lapeT ke nīche utar gayā shāyad
abhī vo shaam se pahle nadī pe baiThā thā
maiñ shāḳh-e-zard ke mātam meñ rah gayā 'qaisar'
ḳhizāñ kā zahr shajar kī jaḌoñ meñ phailā thā
Top Urdushayar.com