piyā karte haiñ chhup kar shaiḳh jī rozāna rozāna
chale aate haiñ aadhī raat ko mai-ḳhāna rozāna
mohabbat jaan bhī detī hai tarsātī bhī hai yaaro
kabhī paimāna barsoñ meñ kabhī paimāna rozāna
pareshāñ huuñ kañval jaisī ye āñkheñ chuum lene do
ki in phūloñ pe manDlāyegā ye bhauñrā na rozāna
sharāboñ ko na jaane log kyuuñ badnām karte haiñ
ki maiñ to mar gayā hotā agar piitā na rozāna
kabhī chilman uThā kar dekh to lo baat mat karnā
ki dil thāme hue aatā hai ik dīvāna rozāna
kisī din bazm-e-sāqī se nikāle jāoge 'qaisar'
nibhāoge kahāñ tak ThāTh ye shāhāna rozāna