dil kī aag kahāñ le jaate jaltī bujhtī chhoḌ chale
banjāroñ se Darne vaalo lo ham apnī bastī chhoḌ chale
aage aage chīḳh rahā hai sahrā kā ik zard safar
dariyā jaane sāhil jaane ham to kashtī chhoḌ chale
miTTī ke ambār ke nīche Duub gayā mustaqbil bhī
dīvāroñ ne dekhā hogā bachche taḳhtī chhoḌ chale
duniyā rakkhe chāhe pheñke ye hai paḌī zambīl-e-suḳhan
ham ne jitnī pūñjī joḌī rattī rattī chhoḌ chale
saarī umr gañvā dī 'qaisar' do gaz miTTī haath lagī
kitnī mahñgī chiiz thī duniyā kitnī sastī chhoḌ chale