māyūsī kī barf paḌī thī lekin mausam sard na thā
aaj se pahle dil meñ yāro! itnā ThanDā dard na thā
tanhā.ī kī bojhal rāteñ pahle bhī to barsī thiiñ
zaḳhm nahīñ the itne qātil ġham itnā be-dard na thā
phirte haiñ ab rusvā hote kal tak ye raftār na thī
shahr meñ thiiñ sau ku-e-malāmat dil āvāra-gard na thā
marne par bhī lau detī thī dīvāne ke dil kī aag
pathrā.ī thiiñ āñkheñ lekin phuul sā chehra zard na thā
harf-e-tasallī mauj-e-havā the mauj-e-havā se hotā kyā
siine kā patthar thā 'qaisar', ġham dāman kī gard na thā