aañkh par ret mal rahe haiñ ham
so zamīñ ko bhī khal rahe haiñ ham
ham ko mālūm be-ḳhudī apnī
phir bhī sahrā meñ chal rahe haiñ ham
vāste de rahā hai sahrā bhī
ḳhāmushī ko nigal rahe haiñ ham
zard patte sadā.eñ dete haiñ
in ko pal pal kuchal rahe haiñ ham
'mīr' kī kyā ġhazal sunī ham ne
āshiqī meñ bhī jal rahe haiñ ham
jab se dekhā hai bānu-e-shab ko
dil hī dil meñ machal rahe haiñ ham
be-sabab kyuuñ hañsī satātī hai
āñsuoñ se bahal rahe haiñ ham
aañkh manzar badaltī rahtī hai
shaam ke saath Dhal rahe haiñ ham