Bilqis Zafirul Hasan

kab ek rang mein duniya ka haal Thahra hai

Bilqis Zafirul Hasan

Patna, Bihar, India

1938
kab ek rañg meñ duniyā kā haal Thahrā hai
ḳhushī rukī hai na koī malāl Thahrā hai
taḌap rahe haiñ paḌe roz o shab meñ uljhe log
nafas nafas koī pechīda jaal Thahrā hai
ḳhud apnī fikr ugātī hai vahm ke kāñTe
ulajh ulajh ke mirā har savāl Thahrā hai
bas ik khañDar mire andar jiye hī jaatā hai
ajiib haal hai maazī meñ haal Thahrā hai
kabhī nahīñ thā na ab hai ḳhayāl-e-sūd-o-ziyāñ
vahī to hogā jo apnā ma.aal Thahrā hai
us ek baat ko guzre zamāna biit gayā
magar diloñ meñ abhī tak malāl Thahrā hai
junūñ ke saa.e meñ ab ghar banā liyā dil ne
chalo kahīñ to vo āvāra-hāl Thahrā hai
baḌe kamāl kā niklā vo aadmī 'bilqīs'
ki be-hunar hai magar bā-kamāl Thahrā hai
Top Urdushayar.com