mirī hathelī meñ likkhā huā dikhā.ī de
vo shaḳhs mujh ko ba-rañg-e-hinā dikhā.ī de
use jo dekhūñ to apnā surāġh pā.ūñ maiñ
isī ke naam meñ apnā patā dikhā.ī de
ravish pe jaleñ us kī āhaToñ se charāġh
ajab ḳhirām hai āvāz-e-pā dikhā.ī de
jo mehrbāñ hai to kyā mehrbāñ ḳhafā to ḳhafā
kabhī kabhī to vo bilkul ḳhudā dikhā.ī de
samāñ samāñ hai dhundalkā dhuāñ dhuāñ manzar
jidhar bhī dekhūñ bas ik ḳhvāb sā dikhā.ī de
junūñ ne baḳhsh diiñ nazroñ ko vus.ateñ kyā kyā
ki zarre zarre meñ sahrā bichhā dikhā.ī de
na merī tarah koī dekh le use 'bilqīs'
maiñ kyuuñ batā.ūñ mujhe us meñ kyā dikhā.ī de