Bilqis Zafirul Hasan

ek aalam hai ye hairani ka jina kaisa

Bilqis Zafirul Hasan

Patna, Bihar, India

1938
ek aalam hai ye hairānī kā jiinā kaisā
kuchh nahīñ hone ko hai apnā ye honā kaisā
ḳhuun jamtā sā rag-o-pai meñ hue shal ehsās
dekhe jaatī hai nazar haul tamāshā kaisā
regzāroñ meñ sarāboñ ke sivā kyā miltā
ye to mālūm thā hai ab ye achambhā kaisā
aable paañv ke sab phuuT bahe be-nishtar
raas aayā hameñ in ḳhāroñ pe chalnā kaisā
phir kabhī socheñge sach kyā hai abhī to sun leñ
log kis kis ke liye kahte haiñ kaisā kaisā
suuī āñkhoñ kī bhī maiñ ne hī nikālī thī magar
dekh ke bhī mujhe us ne nahīñ dekhā kaisā
kitnī saada thī hathelī mirī rañgīn huī
merī uñglī meñ utar aayā hai kāñTā kaisā
ā.īna dekhiye 'bilqīs' yahī haiñ kyā aap
aap ne apnā banā rakkhā hai huliya kaisā
Top Urdushayar.com