Bilqis Zafirul Hasan

kab ek maqam pe rukti hai sar-phiri hai hawa

Bilqis Zafirul Hasan

Patna, Bihar, India

1938
kab ik maqām pe ruktī hai sar-phirī hai havā
tamām shahr o bayābāñ ko chhāntī hai havā
nasīb-e-pā-e-junūñ hai sadā kī dar-badrī
havā-e-jāda-o-manzil meñ kab chalī hai havā
ye pech-o-tāb hai kaisā sabab nahīñ khultā
banā banā ke bagūle bigāḌtī hai havā
sivā.e ḳhaak na kuchh haath aaj tak aayā
sarāb ret se sahrā meñ chhāntī hai havā
ġhazab kā ġhaiz o ġhazab thā jo ham na bikhre the
bikhar ga.e haiñ to kaisī Darī khaḌī hai havā
ukhāḌ toḌ ke bastī ke sab makānoñ ko
chhipī khañDar meñ pashīmān ro rahī hai havā
vo ek baat jo ḳhud se bhī ham na kahte the
zabāñ zabāñ pe vahī baat dhar ga.ī hai havā
tamām laala o gul ke charāġh raushan haiñ
shajar shajar pe shagūfoñ meñ jal rahī hai havā
kab apnā haath pahuñchtā gulāb tak 'bilqīs'
mire nasīb se shāḳhoñ meñ jā phañsī hai havā
Top Urdushayar.com