kāñTe hoñ yā phuul akele chunñā hogā
ham jaisā mohtāt hamesha tanhā hogā
fikr o taraddud meñ har dam kyā ghulte rahnā
hogā to bas vo hī jo kuchh honā hogā
us se kyā kahnā hai pahle ye to tai ho
phir socheñge kyā anjām hamārā hogā
jin meñ kho kar ham ḳhud ko bhī bhuul ga.e haiñ
kyā ham ko bhī un āñkhoñ ne DhūñDā hogā
pathrīlī dhartī hai ankur kyā phūTeñge
be-shak bādal TuuT ke in par barsā hogā
teshe aur junūñ kī bāteñ bas bāteñ haiñ
kaun bhalā martā hai kaun divāna hogā
merī tarah TuuTe ā.īne meñ us ne bhī
TukḌe TukḌe apne aap ko paayā hogā
terī to 'bilqīs' nirālī hī bāteñ haiñ
is duniyā meñ kaise tirā guzārā hogā