zaḳhm ko phuul kaheñ nauhe ko naġhma samjheñ
itne saada bhī nahīñ ham ki na itnā samjheñ
zaḳhm kā apne mudāvā kise manzūr nahīñ
haañ magar kyuuñ kisī qātil ko masīhā samjheñ
sho.abada-bāzī kisī kī na chalegī ham par
tanz o dushnām ko kahte ho latīfa samjheñ
ḳhud pe ye zulm gavārā nahīñ hogā ham se
ham to sho.aloñ se na guzreñge na siitā samjheñ
chhoḌiye pairoñ meñ kyā lakḌiyāñ bāñdhe phirnā
apne qad se mirā qad shauq se chhoTā samjheñ
koī achchhā hai to achchhā hī kaheñge ham bhī
log bhī kyā haiñ zarā dekhiye kyā kyā samjheñ
ham to begāne se ḳhud ko bhī mile haiñ 'bilqīs'
kis tavaqqo pe kisī shaḳhs ko apnā samjheñ