Bilqis Zafirul Hasan

nazar aata hai wo jaisa nahin hai

Bilqis Zafirul Hasan

Patna, Bihar, India

1938
nazar aatā hai vo jaisā nahīñ hai
jo kahte ho magar vaisā nahīñ hai
nahīñ hotā hai kyā kyā is jahāñ meñ
vahī jo chāhiye hotā nahīñ hai
bharā hai shahr firaunoñ se apnā
koī hotā jo ik muusā nahīñ hai
chalo ik aur koshish kar ke dekheñ
yūñhī ghuT ghuT ke mar jaanā nahīñ hai
nahīñ hai ḳhvāb dīvāne kā hastī
ye duniyā sirf ik dhokā nahīñ hai
nihāyat talḳh hai sañgīn sach hai
haqīqat apnī afsāna nahīñ hai
namak ashkoñ kā dil ko lag gayā hai
yahāñ ab kuchh kahīñ ugtā nahīñ hai
jo karnā chāhiye vo hī kiyā hai
milegā ajr kyā sochā nahīñ hai
sunā.e jā rahe haiñ apnī apnī
ajī suniye mujhe sunñā nahīñ hai
hameñ chheḌe nahīñ 'bilqīs' koī
hamārā aaj jī achchhā nahīñ hai
Top Urdushayar.com