Bilqis Zafirul Hasan

daman-e-arzu ke kinare sameTte

Bilqis Zafirul Hasan

Patna, Bihar, India

1938
dāmān-e-ārzū ke kināre sameTte
miltā hai kab kisī ko vo sab kuchh jo chāhiye
hote haiñ kuchh sharar bhī chhupe raakh meñ kahīñ
hai dekhne meñ sard sambhal kar kurediye
sab raushnī ke phuul to khilte hī bujh ga.e
kaḌvā dhuāñ ab āñkhoñ se ro ro nikāliye
mushkil-pasand apnī tabī.at hai kyā kareñ
chun chun ke ḳhaar rāhoñ meñ ḳhud ham ne dhar diye
miltā hai sard-rūī se mah tund-ḳhū hai mehr
apne liye kiran koī ab kis se māñgiye
hasrat se sū-e-dar ye take jaanā tā bike
an-thak ke chor āñkhoñ ko ab sone dījiye
qindīl meñ shagūfoñ ke jalne lagī havā
raushan haiñ shāḳh shāḳh pe ḳhushbū bhare diye
haañ mil liye the us se kahīñ ittifāq se
duniyā ne kaise kaise fasāne banā liye
'bilqīs' liije hosh ke nāḳhun bahut huā
jazbāt ko shu.ūr kī had de ke rokiye
Top Urdushayar.com