apnī to koī baat banā.e nahīñ banī
kuchh ham na kah sake to kuchh us ne nahīñ sunī
yuuñ to chahār samt hai apne hisār-e-shab
ham tīrgī ko chhed ke laate haiñ raushnī
nādīda manzaroñ se tarāshe haiñ ḳhvāb zaar
kab dar-ḳhur-e-nigah koī manzar hai dīdanī
ochhā thā vaar us kā magar ham na bach sake
kisī zahr meñ bujhā.ī thī us shaḳhs ne anī
har-dil-azīz vo bhī hai ham bhī haiñ ḳhush-mizāj
ab kyā batā.eñ kaise hamārī nahīñ banī
auroñ kī tarah ham bhī magar jhel jā.eñge
sab zindagī samajhte haiñ jis ko vo jāñ-kanī
'bilqīs' apnī baat to sab se alag rahī
nā-guftanī sunī hai kahī nā-shunīdanī