hamārī jāgtī āñkhoñ meñ ḳhvāb sā kyā thā
ghanerī shab meñ ugā āftāb sā kyā thā
kahīñ huī to thī halchal kahīñ pe gahre meñ
bigaḌ bigaḌ ke vo bantā habāb sā kyā thā
tamām jism meñ hotī haiñ larzisheñ kyā kyā
savād-e-jāñ meñ ye bajtā rabāb sā kyā thā
hamārī pyaas pe barsā andhere ujiyāle
vo kuchh ghaTāoñ sā kuchh māhtāb sā kyā thā
zarā sī der bhī ruktā to kuchh patā chaltā
vo rañg thā ki thī ḳhushbū sahāb sā kyā thā
ye tishnagī kā safar kaT gayā hai jis ke tufail
vo dasht dasht chhalaktā sarāb sā kyā thā
tamām umr khapāyā hai jis meñ sar 'bilqīs'
bhalā vo be-sar-o-pā sī kitāb sā kyā thā