kis ne kahā kisī kā kahā tum kiyā karo
lekin kahe koī to kabhī sun liyā karo
har aarzū fareb hai har justujū sarāb
machle jo dil bahut use samjhā diyā karo
yuuñ chup rahā kare se to ho jaa.e hai junūñ
zaḳhm-e-nihāñ kured ke kuchh ro liyā karo
haañ shahr-e-ārzū thā kabhī ye ujaaḌ ghar
ab khañDaroñ se is kī kahānī sunā karo
is nā-shunīdanī se to behtar hai chup raho
hai kyā zarūr sikhva-e-be-fā.eda karo
uTh kar chale ga.e to kabhī phir na ā.eñge
phir laakh tum bulāo sadā.eñ diyā karo
naale ubal rahe hoñ to rastā bhī chāhiye
'bilqīs' gaahe gaahe ġhazal kah liyā karo