dīvār-o-dar meñ simTā ik lams kāñptā hai
bhūle se koī dastak de kar chalā gayā hai
sabr o shakeb baaqī taab o tavāñ salāmat
dil misl-e-ūd jal jal ḳhushbū bikhertā hai
ham ḳhaak ho chuke the apnī hī hiddatoñ meñ
miTTī hai raakh phir se paikar nayā banā hai
ik zaḳhm zaḳhm chehra TukḌoñ meñ haath aayā
aur ham samajh rahe the ā.īna juḌ gayā hai
sahrā-e-nīm-shab meñ be-ās retoñ par
din bhar ke kusht o ḳhuuñ kā maarā taḌap rahā hai
dahshat-zada zamīñ par vahshat bhare makāñ ye
is shahr-e-be-amāñ kā āḳhir koī ḳhudā hai
mil jaa.e ābloñ ko dād-e-musāfirat ab
ab dard-e-be-navā.ī kuchh had se bhī sivā hai
ham par to khul chukā bhī dar band har balā kā
kyā jāniye ajal ko ab intizār kyā hai
gul-chīniyoñ kā ham se 'bilqīs' haal pūchho
añgusht-e-ārzū meñ kāñTā utar gayā hai