detā thā jo saayā vo shajar kaaT rahā hai
ḳhud apne tahaffuz kī vo jaḌ kaaT rahā hai
be-samt uḌānoñ se pashīmāñ parinda
ab apnī hī minqār se par kaaT rahā hai
mahbūs huuñ ġhāroñ meñ magar āzar-e-taḳhīl
chaTTānoñ meñ ashkāl-e-hunar kaaT rahā hai
ik zarb-e-musalsal hai ki ruktī hī nahīñ hai
har tār-e-nafas dard-e-jigar kaaT rahā hai
hai kaun kamīñ-gāh meñ ye kaise batā.ūñ
har tiir magar mere hī par kaaT rahā hai
ummīd ujāle kā liye tesha har ik dil
har raat ba-andāz-e-sahar kaaT rahā hai
kartā hai fuzūñ vahshat-e-dil dasht kā mausam
'bilqīs' magar kyā karūñ ghar kaaT rahā hai