Bilqis Zafirul Hasan

be-talluq sare rishte kaun kis ka aashna

Bilqis Zafirul Hasan

Patna, Bihar, India

1938
be-ta.alluq saare rishte kaun kis kā āshnā
saath saa.e kī tarah sab aur sab nā-āshnā
karb jaarī hai bajā.e ḳhuuñ ragoñ meñ sāhibo
kaun hai ham sā jahāñ meñ ġham se itnā āshnā
haañ hamārī nibh to saktī thī magar kaise nibhe
apnī ḳhuddārī meñ ham aur vo vafā nā-āshnā
ek ik kā muñh takeñ begānagī ke shahr meñ
ab kaheñ kyā kis se ham ab kaun apnā āshnā
niiv baiThī jā rahī hai saarī dīvāreñ ga.iiñ
ghar kā baasī ghar kī hālat se nahīñ kyā āshnā
jo na karnā thā karāyā aur nādim bhī nahīñ
ai dil-e-nādāñ kisī kā ho na tujh sā āshnā
ajnabī ik dūsre se baat kyā karte nahīñ
ik zarā se saath meñ kyā āshnā nā-āshnā
ḳhum ba ḳhum chhalke tirī sahbā nasha qaa.im rahe
lazzat-e-zahrāb ġham se kab huā thā āshnā
pāra-e-sīmāb bhī 'bilqīs' Thahrā hai kahīñ
vo talavvun-kesh kis kā dost kis kā āshnā
Top Urdushayar.com