ne aadmī pasand na is ko ḳhudā pasand
hai aa.ine meñ qaid mirā ā.inā-pasand
do-chār din bhī ham se nibāhī nahīñ ga.ī
vo mo'tadil mizāj thā maiñ intihā pasand
vo ḳhud-fareb shaḳhs thā patthar-shanās thā
aayā na us ko koī bhī apne sivā pasand
pūchhe hai ham ne kaahe kiyā kufr iḳhtiyār
ġhaflat pasand hai na hameñ aasrā pasand
ġhauġhā-e-marg chāroñ taraf phailne lagā
kyā is jahāñ ko chhoḌ ga.e bādiya-pasand
us par hī bhejtā hai vo aafat bhī maut bhī
shāyad use ġharīb kā bachcha hai nā-pasand
ākāsh ek shaḳhs hai duniyā se muḳhtalif
pahlī nazar meñ hī tumheñ aa jā.egā pasand