dil yahī soch ke betāb huā jaatā hai
dar-ba-dar merā har ik ḳhvāb huā jaatā hai
rāt-din dard ke āġhosh meñ jaltī sāñseñ
ab lahū jism kā tezāb huā jaatā hai
bahte rahte haiñ in āñkhoñ se musalsal aañsū
shahr-e-dil vādī-e-be-āb huā jaatā hai
jab bhī paḌtī hai khulī dhuup zamīñ par us kī
us kā chehra koī mahtāb huā jaatā hai
terī yādoñ kī mahak aur ye halkī rim-jhim
aaj bistar bhī to kam-ḳhvāb huā jaatā hai
jaane kyā baat hai jo aap kī qurbat pā kar
aam insān bhī nāyāb huā jaatā hai
bazm meñ aap ke aane kī khabar sun sun kar
dil merā ḳhitta-e-shādāb huā jaatā hai
kyā karūñ ab maiñ zamāne se mohabbat kar ke
ye samundar bhī to pāyāb huā jaatā hai
kyā kahūñ aa.e dinoñ gaañv merā fashion meñ
kabhī dillī kabhī punjab huā jaatā hai