sulagtī ret pe āñkheñ bhī zer-e-pā rakhnā
nahīñ hai sahl havā se muqābla rakhnā
use ye zom ki āġhosh-e-gul bhī us kī hai
jo chāhtā hai parindoñ ko be-navā rakhnā
subuk na ho ye nigah-dāri-e-junūñ ham se
ye dekhne ko use sāmne biThā rakhnā
bikhar na jaanā jarāhat-navāzi-e-shab par
mashām-e-jāñ ko abhī ḳhvāb āshnā rakhnā
vo fursateñ ki jinheñ āhaToñ kī ḳhvāhish ho
unheñ jaras kī tamannā se mā-sivā rakhnā
tamām manzar-e-jāñ us kī ḳhvāhishoñ se banā
vo ḳhvāb hai to use ḳhvāb meñ sajā rakhnā
udāsiyoñ ko to āñgan hī chāhiye ḳhālī
chhatoñ pe chāndnī rātoñ kā silsila rakhnā
vo jab bhī aayā bahut tez bārishoñ jaisā
vo jis ne chāhā mujhe surma.ī ghaTā rakhnā
bas ik charāġh masāfat kā bojh sah legā
suḳhan ke biich talabgāri-e-vafā rakhnā