Anubhav Gupta

ye dil hi jaanta hai phir kahan kahan bhaTke

Anubhav Gupta

ye dil hī jāntā hai phir kahāñ kahāñ bhaTke
bichhaḌ ke tum se ham āḳhir kahāñ kahāñ bhaTke
hamāre paañv ke chhāle hī ye samajhte haiñ
ki tere pyaar kī ḳhātir kahāñ kahāñ bhaTke
tumhārī chāñd sī tasvīr ke tasavvur meñ
hameñ patā hai musavvir kahāñ kahāñ bhaTke
tumheñ patā hī nahīñ tum ko dekhne ke ba.ad
ġhazal ke naam se shā.ir kahāñ kahāñ bhaTke
ḳhudā hī jaane mire ḳhvāb bech dene ke ba.ad
mirī vafāoñ ke tājir kahāñ kahāñ bhaTke
kabhī jo ghar se na niklā ho us ko kyā ma.alūm
safar meñ kitne musāfir kahāñ kahāñ bhaTke
milā añdhere meñ jo kuchh ḳhudā banā Daalā
ḳhudā ko chhoḌ ke kāfir kahāñ kahāñ bhaTke
kahīñ qarār na aayā kahīñ sukūñ na milā
bichhaḌ ke ghar se muhājir kahāñ kahāñ bhaTke
Top Urdushayar.com