fazā-e-dil meñ ghanī tīrgī sī lagtī hai
kahīñ kahīñ pe zarā raushnī sī lagtī hai
baḌā ajiib mohabbat kā daur hotā hai
kahīñ pe maut kahīñ zindagī sī lagtī hai
chamakne lagtī hai har chiiz mere kamre kī
tumhārī yaad koī phuljhaḌī sī lagtī hai
maiñ sochtā huuñ kahūñ kaise bevafā us ko
mujhe to apne hī andar kamī sī lagtī hai
tumhārī yaad ko jab bhī gale lagātā huuñ
mire badan meñ koī sansanī sī lagtī hai
koī bahut baḌā tūfān aane vaalā hai
jahāñ bhī dekho havā chup khaḌī sī lagtī hai
tumhārī soch meñ maiñ rañg apne bhar na sakā
ye sochtā huuñ to sharmindagī sī lagtī hai