Anubhav Gupta

sitam sahne ki tayyari bhi koi chiz hoti hai

Anubhav Gupta

sitam sahne kī tayyārī bhī koī chiiz hotī hai
mohabbat meñ vafādārī bhī koī chiiz hotī hai
bahut ham ḳhud-ġharaz the jab mohabbat kī to ye jaanā
ki apnī jaan se pyārī bhī koī chiiz hotī hai
zarūrī to nahīñ har baat hoñThoñ se kahī jaa.e
nigāhoñ kī adākārī bhī koī chiiz hotī hai
agar āñkhoñ se bah jaa.eñ to ho jaatā hai dil halkā
badan meñ ashk se bhārī bhī koī chiiz hotī hai
taqāze us se ham hī kyuuñ kareñ har roz milne ke
hamārī apnī ḳhuddārī bhī koī chiiz hotī hai
hamāre ḳhat jahāñ paḌhte ho yuuñ hī Daal dete ho
are kamre meñ almārī bhī koī chiiz hotī hai
taraf-dārī tumheñ aatī hai apne ghar ke logoñ kī
miyāñ merī taraf-dārī bhī koī chiiz hotī hai
ayādat ke bahāne mere ghar vo roz aate haiñ
mohabbat vāloñ bīmārī bhī koī chiiz hotī hai
Top Urdushayar.com