Bhure Khan Ashufta

jam-e-gadai hath mein le nit sanj-sawere phirte hain

Bhure Khan Ashufta

jām-e-gadā.ī haath meñ le nit sāñj-savere phirte haiñ
shams-o-qamar ye donoñ bhikārī husn ke tere phirte haiñ
muddat se hai aḳhtar-e-tāle.a māh-jabīñ bin gardish meñ
khol tū bāhman pothī apnī kab din mere phirte haiñ
panDit pūchho haath dikhāo faal khulāo koī par
din jo hoñ bargashta apne kis ke phere phirte haiñ
aql-o-farāsat salb hue sab haa.e junūñ re vaa.e junūñ
galiyoñ galiyoñ laḌke ham ko ghere ghere phirte haiñ
yuuñ kāñdhe par zulfeñ us kī bal khātī haiñ vaqt-e-ḳhirām
mār-e-siyah ko Daal gale meñ jaise sapere phirte haiñ
jog liyā 'āshufta' ham ne dekh laTak un zulfoñ kī
galiyoñ galiyoñ hāl-e-pareshāñ baal bikhere phirte haiñ
Top Urdushayar.com