tumhārī yaad jo aa.ī to de ke aah ga.ī
banā ke dard ko apnā yahāñ gavāh ga.ī
palaT ke aaoge tum is liye ba-hasrat-o-yās
tumhāre pīchhe baḌī duur tak nigāh ga.ī
milā ke chhoḌ diyā āḳhirash mohabbat ne
tumhāre ghar hī ga.ī jo hamārī raah ga.ī
vo aarzū jo dabe paañv aa.ī thī dil meñ
banā ke mujh ko mire dil kā bādshāh ga.ī
na chhoḌā ham ko kahīñ kā tumhārī ulfat ne
judā.ī de ke qayāmat kā intibāh ga.ī
ye sach hai ham ne bhī aksar nibāhī hai us se
hamāre saath bhī ye zindagī nibāh ga.ī
vo ek laḌkī samajhte the nā-samajh jis ko
hamāre sher pe vo kar ke vaah vaah ga.ī
milī thī raah meñ rusvā.ī jo hameñ 'jāmī'
judā huī to ḳhushī de ke be-panāh ga.ī