markaz-e-dahr zaat merī hai
rashk-e-duniyā hayāt merī hai
ye zamīñ ye falak ye bahr-o-bar
ye hasīñ kā.enāt merī hai
merī ḳhātir nikaltā hai sūraj
din hai merā ye raat merī hai
varaq-e-gul pe sher haiñ mere
baat bhī paat paat merī hai
sach kī sūrat kahī hai jis ne bhī
sach to ye hai vo baat merī hai
kyā huā agar nahīñ mirā qabza
phir bhī kul kā.enāt merī hai
terī qismat ho yā mirī 'jāmī'
jo bhī hai tere saath merī hai