jaltī huī rutoñ ke ḳharīdār kaun haiñ
ai paikar-e-ġhazal tire bīmār kaun haiñ
ḳhushbū kī sā.atoñ ke talabgār kaun haiñ
is zulf-e-mushk-bū ke giraftār kaun haiñ
kab tak chhupe raheñge azal ḳhāmushī ke bhed
shahr-e-sadā ke mahram-e-asrār kaun haiñ
kirnoñ kī rahguzār pe uḌtī hai dhuul sī
jo us taraf ga.e haiñ vo jī-dār kaun haiñ
sīnoñ meñ le ke valvala-e-zindagī kī aag
asr-e-ravāñ se bar-sar-e-paikār kaun haiñ
sadiyoñ se muntazir haiñ sulagtī masāfateñ
āsā.ish-e-junūñ ke talabgār kaun haiñ
sarmast kar ga.ī jinheñ apne lahū kī lai
vo arsa-e-nabard ke fankār kaun haiñ
meñ to ġharīb-e-shahr-e-suḳhan huuñ magar 'jalīl'
farmāñ-ravā-e-kishvar-e-iz.hār kaun haiñ