kar ke sañg-e-ġham-e-hastī ke havāle mujh ko
ā.īna kahtā hai ab dil meñ chhupā le mujh ko
maiñ na dariyā huuñ na sāhil na safīna na bhañvar
dāvar-e-ġham kisī sāñche meñ to Dhāle mujh ko
ik tabassum ke evaz hech nahīñ jins-e-vafā
hañs ke jo baat kare apnā banā le mujh ko
itnā bharpūr kahāñ thā mire ġham kā iz.hār
ajnabī lagte haiñ ab apne hī naale mujh ko
maiñ vo gul huuñ jo mahaktā hai sar-e-shāḳh-e-hayāt
kyuuñ koī apne girebāñ meñ sajā le mujh ko
jaane kis dasht ke kāñToñ ne pukārā hai 'jalīl'
liye jaate haiñ kahīñ paañv ke chhāle mujh ko