Hasan Akhtar Jaleel

ye raat kash isi dilkashi se Dhalti rahe

Hasan Akhtar Jaleel

ye raat kaash isī dilkashī se Dhaltī rahe
ufuq ke paas pahāḌoñ meñ aag jaltī rahe
darāz-tar ho ḳhayāloñ kī bastiyoñ kā safar
mirī talāsh sadā zāviye badaltī rahe
koī charāġh na mere harīm-e-ġham meñ jale
ḳhud apnī aañch meñ ye tīrgī pighaltī rahe
shikasta ho ke bhī naumīd ho na dil terā
bujhe charāġh meñ bhī raushnī machaltī rahe
safīne Duub ga.e kitne dil ke sāgar meñ
ḳhudā kare tirī yādoñ kī naav chaltī rahe
Top Urdushayar.com