raat lambī bhī hai aur tārīk bhī shab-guzārī kā sāmāñ karo dosto
jaane phir kab ye milnā muqaddar meñ ho apnī apnī kahānī kaho dosto
kis parī-chehra se pyaar tum ne kiyā kaun se des ke shāhzāde ho tum
apnī rūdād-e-ulfat sunā kar baham dāstāñ koī tashkīl do dosto
mujh ko ehsās hai tum bhī merī tarah jān-o-dil kū-e-ulfat meñ haar aa.e ho
ab ye baazī na.e sar se mumkin nahīñ apnā anjām ḳhud soch lo dosto
sub.h hogī to zālim zamāne ke ġham tum pe abr-e-sitam ban ke chhā jā.eñge
fursat-e-bazm-e-shab se ghaḌī-do-ghaḌī baat aapas kī koī karo dosto
Dhal ga.ī raat taare bikharne lage muntashir ho chale dhyān ke silsile
koī dam aur dil meñ farozāñ raho ek muddat ke ba.ad aa.e ho dosto