Hasan Akhtar Jaleel

aai patjhaD gire fasl-e-gul ke nishan raat-bhar mein

Hasan Akhtar Jaleel

aa.ī patjhaḌ gire fasl-e-gul ke nishāñ rāt-bhar meñ
kaT ga.e kaise kaise sajīle javāñ raat bhar meñ
TūTtī pattiyoñ kī nigāhoñ meñ bechārgī hai
raakh sī bujh ga.ī panchhiyoñ kī fuġhāñ rāt-bhar meñ
do-ghaḌī aur sun merī furqat ke betāb nauhe
ḳhatm kaise ho ik umr kī dāstāñ rāt-bhar meñ
to jo aayā to guzrī bahāreñ bhī hamrāh laayā
yaad ke dasht meñ khil ga.e gulsitāñ rāt-bhar meñ
us ko pahchān paa.ī na sūraj kī pahlī kiran bhī
jaise nauras kalī ho ga.ī ho javāñ rāt-bhar meñ
laayā kyā kyā guhar soch sāgar se sapnoñ kā māñjhī
mil ga.iiñ kitnī khoī huī kashtiyāñ rāt-bhar meñ
Top Urdushayar.com