Hasan Akhtar Jaleel

KHala ke dasht mein ye turfa majra bhi hai

Hasan Akhtar Jaleel

ḳhalā ke dasht meñ ye turfa mājrā bhī hai
vo āsmān jo sar par thā zer-e-pā bhī hai
havā ke dosh pe ik surma.ī lakīr ke saath
mirī talāsh meñ shāyad mirī sadā bhī hai
Darā huuñ yuuñ kabhī tanhā.iyoñ kī aahaT se
ki jaise mujh meñ koī shai mire sivā bhī hai
bahut aziiz hai mujh ko ye barg-e-nau jis meñ
zamīñ kā husn bhī hai shoḳhī-e-sabā bhī hai
mirī jafā-talabī kā ḳhayāl hai us ko
vagarna pyaar kā andāz dūsrā bhī hai
rag-e-hayāt meñ raqsāñ mirī tavānā.ī
maiñ kaise maan luuñ mere liye fanā bhī hai
Top Urdushayar.com