shab kī dahlīz se kis haath ne pheñkā patthar
ho gayā sub.h kā mahkā huā chehra patthar
kuchh anokhī to nahīñ merī mohabbat kī shikast
aa.ine jab bhī muqābil hue jiitā patthar
is tilismāt kī vaadī meñ palaT kar bhī na dekh
varna ho jā.egā ḳhud terā sarāpā patthar
yaad kī lahr bahā laa.ī hai kis des mujhe
hai yahāñ vaqt kā bahtā huā dariyā patthar
kis ke paikar meñ samātā mire ehsās kā loch
maiñ ne insāñ se ḳhajil ho ke tarāshā patthar
terī āñkhoñ meñ abhī niiñd ke Dore kyuuñ haiñ
yaañ to ik choT se ho jaate haiñ biinā patthar
kund kar detā hai yuuñ zehan ko hālāt kā zahr
jaise ban jaa.e chamaktā huā sonā patthar
terī sochoñ kī qasam ai mire ḳhāmosh ḳhudā
mujh se karte haiñ itā.at kā taqāzā patthar
mujh se māyūs na palTe mirī taqdīr ke ġham
merī uñglī meñ na thā koī chamaktā patthar
kitnī dildār hai sāhil kī chamaktī huī ret
ab nahīñ pāñv-tale koī nukīlā patthar
maiñ sar-e-dār khaḌā huuñ ka.ī sadiyoñ se 'jalīl'
kaun māregā mire jism pe pahlā patthar