aarzū kī hamā-hamī aur maiñ
dard-e-dil dard-e-zindagī aur maiñ
mauja-e-qulzum-e-abad aur tū
chand būñdoñ kī tishnagī aur maiñ
rāt-bhar terī raah takte rahe
tere kūche kī raushnī aur maiñ
chhup ke milte haiñ terī yādoñ se
shab kī tanhā.ī chāñdnī aur maiñ
ek hī raah ke musāfir haiñ
be-karāñ raat ḳhāmushī aur maiñ
raat us paikar-e-ḳhayāl ke paas
chand phūloñ kī boss thī aur maiñ
ye bhī ik manzil-e-junūñ thī 'jalīl'
varna zindān-e-āgahī aur maiñ