Hasan Akhtar Jaleel

dil ki taraf nigah-e-taghaful raha kare

Hasan Akhtar Jaleel

dil kī taraf nigāh-e-taġhāful rahā kare
is ḳhāk-e-rāh ko bhī koī kīmiyā kare
hiire kī kaan dekh ke aatā hai ye ḳhayāl
kaash is zamīñ se dāna-e-gandum ugā kare
TuuTe kisī tarah to dhueñ kā siyah tilism
har shaam is dayār meñ āñdhī chalā kare
dhīme dukhoñ kī raakh badan par milī to hai
vo Daal de nazar to mujhe aa.inā kare
ḳhushbū mire ġhamoñ kī bikhar jaa.e duur duur
yuuñ chup rahūñ ki ek zamāna sunā kare
bujhne lagī hai shaam ke āñgan meñ raushnī
ab mauj-e-ḳhūn-e-dil hī koī mo.ajiza kare
Top Urdushayar.com