Hasan Akhtar Jaleel

ek bhayanak tirgi hai raushni ai raushni

Hasan Akhtar Jaleel

ik bhayānak tīrgī hai raushnī ai raushnī
sham-e-jāñ bujhne lagī hai raushnī ai raushnī
kyā koī bhaTkā huā jugnū idhar bhī aa.egā
raat gahrī ho chalī hai raushnī ai raushnī
āsmānoñ par sitāre haiñ na sīnoñ meñ sharār
ye qayāmat kī ghaḌī hai raushnī ai raushnī
ḳhatm kab hogā ye ehsās-e-ziyāñ kā rat-jagā
ek ik lamha sadī hai raushnī ai raushnī
ham añdheroñ ke havārī ban ke zinda haiñ magar
zindagī sharmindagī hai raushnī ai raushnī
apnī qismat meñ hai nok-e-ḳhār yā shāḳh-e-bahār
phuul haiñ yā phuljhaḌī hai raushnī ai raushnī
Top Urdushayar.com