Hasan Akhtar Jaleel

phandti phirti hain ehsas ke jangal ruhen

Hasan Akhtar Jaleel

phāñdtī phirtī haiñ ehsās ke jañgal rūheñ
kab sakūñ pā.eñgī bhaTkī huī be-kal rūheñ
pā-shikasta haiñ shab-o-roz ke vīrāne meñ
DhūñDtī haiñ kise is dasht meñ pāgal rūheñ
jab bhī uThte haiñ nigāhoñ se ġham-e-jāñ ke hijāb
dekh letī haiñ kisī shoḳh kā āñchal rūheñ
rūnumā ho chaman-e-dahr meñ ai abr-e-nashāt
dard kī dhuup meñ sañvlā.ī haiñ komal rūheñ
dil ke ujḌe hue mandir ko basāne ke liye
le ke aa.ī thiiñ kisī yaad kī mash.al rūheñ
raat sapnoñ kī sabhā meñ mire hamrāh rahīñ
jab khulī aañkh huiiñ aañkh se ojhal rūheñ
Top Urdushayar.com