Tahir Tonsvi

to tai hua na ki jab bhi likhna ruton ke sare azab likhna

Tahir Tonsvi

Gurdaspur, Punjab, India

1927
to tai huā nā ki jab bhī likhnā rutoñ ke saare azaab likhnā
ujaaḌ mausam maiñ tapte sahrā ko aab likhnā habāb likhnā
qarār-e-jāñ hai tumhārā va.ada ki ghar pahuñch kar maiñ bhej dūñgī
maiñ muntazir hoñ tumhāre ḳhat kā shikāyatoñ kā javāb likhnā
mujhe yaqīñ hai nasīb merā na saath degā ki tajraba hai
sukūn ko iztirāb kahnā haqīqatoñ ko sarāb likhnā
ye terī ġhazleñ bayāñ nahīñ haiñ visāl-e-shab kī navāzishoñ kā
jo ho sake masnavī meñ saarā vo aks-e-kaif-e-shabāb likhnā
aziyyatoñ ke safar meñ maiñ ne bharam rakhā phir bhī hausloñ kā
munāfiqat ke jahāñ meñ mujh ko sadāqatoñ kā nisāb likhnā
ye daur ahl-e-qalam pe bhārī ki maslahat kī sabīl jaarī
gunāh ko bhī savāb kahnā babūl ko bhī gulāb likhnā
havā ke māthe pa darj tahrīr mausamoñ kī tamāzatoñ se
jo miT ga.ī hai to kyā huā hai na.e sire se ye baab likhnā
gulāb-rut meñ ye zardiyoñ ke nuqūsh chehre pe dekh lenā
hamāre baare maiñ kuchh na kahnā pa ibratoñ kī kitāb likhnā
harī bharī khetiyāñ kahāñ haiñ mire muqaddar ke zā.iche haiñ
shahīd-e-ishq-e-vafā kā 'tāhir' hatheliyoñ par hisāb likhnā
Top Urdushayar.com