dasht-e-āzār meñ ḳhāroñ pe chalāyā huā maiñ
sañg-bārī ke tarashshoh meñ nahāyā huā maiñ
chhoḌ aayā huuñ saf-e-jāñ pe nishāñ sajdoñ ke
nok-e-neza pe dam-e-asr uThāyā huā maiñ
teġh-e-qātil pe chamaktī hai mire ḳhuun kī zau
shahr-e-bedād meñ ḳhat likh ke bulāyā huā maiñ
ḳhusbū-e-shauq-e-shahādat se mo.attar ho kar
gulshan-e-mahzar-e-mīqāt pe aayā huā maiñ
sub.h-e-ālām ke sūraj ko sadā detā huā
vus.at-e-shām-e-ġharībāñ meñ samāyā huā maiñ